Friday, April 4, 2008
Yeh Mahalon, Yeh Takhton, Yeh Taajon Ki DuniyaYeh Insaan Ke Dushman
Yeh Mahalon, Yeh Takhton, Yeh Taajon Ki DuniyaYeh Insaan Ke Dushman, Samajon Ki DuniyaYeh Daulat Ke Bhooke, Rawajon Ki DuniyaYeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye, To Kya Hai ?Har Ek Jism Ghayal, Har Ek Rooh PyaasiNigaahon Mein Uljhan Dilon Mein UdaasiYeh Duniya Hai Ya Aalam-E-BadhawaasiYeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye, To Kya Hai ?Yahan Ek Khilona Hai Insaan Ki HastiYeh Basti Hai Murda Paraston Ki BastiYahan Zindagi Se Bhi Hai Maut SastiYeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye, To Kya Hai ?Jawaani Bhatakti Hai Badkaar BankarJawaan Jism Sajte Hain Baazar BankarYahaan Pyar Hota Hai Vyopar BankarYeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye, To Kya Hai ?Yeh Duniya Jahaan Aadmi Kuchh Nahin HaiWafaa Kuchh Nahin Dosti Kuchh Nahin HaiJahan Pyaar Ki Kadr Hi Kuchh Nahin HaiYeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye, To Kya Hai ?Jalaa Do Ise Fooq Dalo Yeh DuniyaJalaa Do, Jalaa Do, Jalaa DoFooq Dalo Yeh DuniyaMere Samne Se Hata Lo Yeh DuniyaTumhari Hai Tum Hi Sambhalo Yeh DuniyaYeh Duniya Agar Mil Bhi Jaaye, To Kya Hai ?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment