Friday, April 4, 2008
......................
maiN apnii rooH kii har ik Khushii miTaa louNgaamagar tumhaarii masarrat miTaa nahiiN saktaamaiN Khud ko maut ke haathoN meiN sauNp saktaa houNmagar ye baar-e-masaa’ib uThaa nahiiN saktaatumhaare Gham ke sivaa aur bhi to Gham haiN mujhenajaat jin se maiN ik laHzaa paa nahiiN saktaaye ooNche ooNche makaanoN kii DyoDhiyoN ke talehar ek gaam pe bhooke bhikaariyoN kii sadaahar ek ghar meiN hai iflaas aur bhook kaa shorhar ek samt ye insaaniyat kii aah-o-bukaaye kaarKhaanoN meiN lohe kaa shaur-o-Ghul jis meiNhai dafn laakhoN GhareeboN kii rooH kaa naGhmaaye shaah-raahoN pe rangeen saaRiyoN kii jhalakye jhoNpaRoN meiN GhareeboN ke beqafan laasheiNye maal road pe kaaroN kii rel-pel kaa shorye paTriyoN pe GhareeboN ke zard-roo bachchegali gali meiN ye bikte hue javaaN chehrehaseen aaNkhoN meiN afsurdagii sii chhaaii haiye jaNg aur ye mere watan ke shauKh javaaNKhareedii jaatii haiN uTh_tii javaaniyaaN jinkiye baat baat pe qaanon-o-zaabte kii giraftye zillateiN, ye Ghulaamii, ye daur-e-majbooriiye Gham bahut haiN mirii zindagii miTaane koudaas rah ke mire dil ko aur raNj na do!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment