Friday, April 4, 2008
sahir's work which i like most
tumheiN udaas sa paataa houN maiN kaii din sena jaane kaun se sadme uThaa rahii ho tumvoh shoKhiyaaN, vo tabassum, vo qahqahe na rahehar ek cheez ko Hasrat se dekhtii ho tumchhupaa chhupaa ke Khamoshi meiN apnii bechainiKhud apne raaz kii tash_heer ban gayii ho tummirii umeed agar miT gayii to miTne doummeed kyaa hai bas ik pesh-o-pas hai kuchh bhii nahiiNmirii Hayaat kii GhamgeeniyoN ka Gham na karoGham-e-Hayaat, Gham-e-yak-nafas hai kuchh bhii nahiiNtum apne Husn kii raa’naayioN pe raHam karowafaa fareb hai tuul-e-hawas hai kuchh bhii nahiiNmujhe tumhaare taGhaaful se kyaa shikaayat homirii fanaa mire ehsaas ka taqaazaa haimaiN jaantaa houN duniyaa kaa Khauf hai tumkomujhe Khabar hai ye duniyaa ajeeb duniyaa haiyahaaN Hayaat ke parde meiN maut paltii haishikast-e-saaz kii aavaaz rooh-e-naGhmaa haimujhe tumhaarii judaaii kaa koii ranj nahiiNmire Khayaal kii duniyaa meiN mire paas ho tumye tum ne Theek kahaa hai tumheiN milaa na karouNmagar mujhe ye bataa do k kyoN udaas ho tumKhafaa na honaa meri jurrat-e-taKhaatub partumheiN Khabar hai merii zindagii kii aas ho tummira to kuchh bhii nahiiN hai maiN ro ke jee louNgaamagar Khudaa ke liye tum aseer-e-Gham na rahohuaa hi kyaa jo zamaane ne tum ko chheen liyaayahaaN pe kaun huaa hai kisii ka socho tomujhe qasam hai mirii dukh bharii javaanii kiimaiN Khush houN, meri muhabbat ke phool Thukraa do ......
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment