Friday, April 4, 2008

Kabhi Kabhi Mere Dil Main Khayal Aata Hai

Kabhi Kabhi Mere Dil Main Khayal Aata HaiKee Zindagi Teri Julf Kee Narm Chhaon MeinGujrane Pati To Shadab Ho Bhee Sakti TheeYe Tiragi ( Andhera) Jo Mere Jist( Jivan ) Ka Muqaddar HaiTeri Nazar Kee Shuaon ( Rashmiyon) Mein Kho Bhee Sakti TheeAjab Na Tha Kee Mein Begana E Alam (Dukhon Se Aprichit) RahkarTire Jamal Kee Ranaiiyon (Lavanyata) Mein Kho RahtaTera Gudaj Badan Teri Neembaz (Adh Khuli) AankhenInhee Fasano Mein Mahv ( Nimagn) Ho RahtaPukartee Jab Mujhe Talkhiyan Jamane KeeTere Labon Se Halavat (Madhur Ras) Ke Ghoont Pee LetaHayat ( Jeevan) Cheekhti Firti Barhana Sir ( Nange Sir) Aur MainGhaneri Julf Ke Saye Main Chup Ke Jee LetaMagar Ye Ho Na Saka Aur Ab Ye Aalam HaiKee Tu Nahi, Tera Gam Nahi, Teri Justju Bhee NahiGujar Rahi Hai Zindagi Kuch Is Tarah JaiseIse kisi Sahare Kee Aarjoo Bhee NahiJamane Bhar Ke Dukho Ko Laga Chuka Hoon GaleGujar Raha Hoon Kuch Anjani Rah Gujaro SeMuheeb (Bhayanak) Meri Sikt Badhte Aate HainHayato Maut (Jeevan Maut) Ke Pur Houl Kharjaro Se (Bhayank Kanteele Janglon Se)Na Koi Jada( Marg), Na Manjil, Na Roshni Ka SuragBhatak Rahi Hai Khalaon ( Shunya 0) Mein Zindagi MeriInhee Khalaon Mein Rah Jaoonga Kabhi KhokarMain Janta Hoon Meri HumNafas Magar Yoon HeeKabhi Kabhi Mere Dil Mein khayal Aata Hai......................

No comments: